રવિવાર, 15 એપ્રિલ, 2012

kar diya....

kisi ki chahat ne hame itana majboor kar diya.....
dub ke pyar me hame itana magroor kar diya....

ksimat ka rona kaha hamne us khuda se aisa,
is ek gulaam ko mohabbat ka hujoor kar diya.....

kahani dekhi us paash paash hue aayana ki,
jod tukade hamane unhe mashahoor kar diya.....

na tha mumkin par pyar pe tha aitbaar itana,
milan ki gunjaaish ko hamane dastoor kar diya.....

hakikat kahi par kar nahi sakate ham kuch bhi,
kuch vaakiye ko NEER kah ke tasawoor kar diya....

Nishit Joshi 'NEER'

ટિપ્પણીઓ નથી:

ટિપ્પણી પોસ્ટ કરો